دل کی راہیں روشن کرتے رہتے ہیں
Nadeem Fazli (b. 1959)دل کی راہیں روشن کرتے رہتے ہیں
کس کے گھنگھرو چھن چھن کرتے رہتے ہیں
دنیا جس کی کھوج میں پاگل پھرتی ہے
ہم تو اس کے درشن کرتے رہتے ہیں
اندر کی بے رنگی شاید چھپ جائے
باہر رنگ و روغن کرتے رہتے ہیں
ان سے پوچھو آنے والی رت کا حال
جو پت جھڑ کو ساون کرتے رہتے ہیں
ان کے دل میں گھر کر لینا مشکل ہے
چٹانوں میں روزن کرتے رہتے ہیں
چپ رہتے ہیں جن میں کچھ بھی ہوتا ہے
خالی ڈبے کھن کھن کرتے رہتے ہیں
dil ki rahen raushan karte rahte hain
kis ke ghunghru chhin chhin karte rahte hain
duniya jis ki khoj mein pagal phirti hai
ham to us ke darshan karte rahte hain
andar ki be rangi shayad chhup jae
bahar rang-o-roghan karte rahte hain
un se puchho ane wali rut ka hal
jo pat jhar ko sawan karte rahte hain
un ke dil mein ghar kar lena mushkil hai
chatanon mein rauzan karte rahte hain
chup rahte hain jin mein kuchh bhi hota hai
khali dabbe khan khan karte rahte hain