خواب کاری وہی کمخواب وہی ہے کہ نہیں
Daniyal Tareer (1980–2015)خواب کاری وہی کمخواب وہی ہے کہ نہیں
شعر کا حسن ابد تاب وہی ہے کہ نہیں
کیا پری کو مجھے مچھلی میں بدلنا ہوگا
دیکھنے کے لیے تالاب وہی ہے کہ نہیں
میں جہاں آیا تھا پیڑوں کی تلاوت کرنے
سامنے قریۂ شاداب وہی ہے کہ نہیں
آنکھ کو نیند میں معلوم نہیں ہو سکتا
رات وہ ہے کہ نہیں خواب وہی ہے کہ نہیں
جس کو چھونے سے مرا جسم چمک اٹھے گا
دیکھ یہ شیشۂ مہتاب وہی ہے کہ نہیں
یہ کہانی کے الاؤ سے چرائی ہوئی آگ
محو حیرت ہے کہ برفاب وہی ہے کہ نہیں
سر جھکانے سے جہاں اشک تپاں جاگا تھا
سوچتا ہوں کہ یہ محراب وہی ہے کہ نہیں
khwab kari wahi kamkhwab wahi hai ke nahin
sher ka husn abad tab wahi hai ke nahin
kya pari ko mujhe machhli mein badalna hoga
dekhne ke liye talab wahi hai ke nahin
main jahan aya tha peron ki tilawat karne
samne qarya-e-shadab wahi hai ke nahin
ankh ko nind mein maalum nahin ho sakta
rat wo hai ke nahin khwab wahi hai ke nahin
jis ko chhune se mira jism chamak uthega
dekh ye shisha-e-mahtab wahi hai ke nahin
ye kahani ke alao se churai hui ag
mahw-e-hairat hai ke barfab wahi hai ke nahin
sar jhukane se jahan ashk tapan jaga tha
sochta hun ke ye mehrab wahi hai ke nahin