مٹی تھا اور دودھ میں گوندھا گیا مجھے
Daniyal Tareer (1980–2015)مٹی تھا اور دودھ میں گوندھا گیا مجھے
اک چاند کے وجود میں گوندھا گیا مجھے
میں نیست اور نبود کی اک کیفیت میں تھا
جب وہم ہست و بود میں گوندھا گیا مجھے
میں چشم کم رسا سے جسے دیکھتا نہ تھا
اس خواب لا حدود میں گوندھا گیا مجھے
خس خانہ زیاں کی شرر باریوں کے بعد
یخ زار نار سود میں گوندھا گیا مجھے
اک دست غیب نے مجھے لا چاک پر دھرا
پھر وقت کے جمود میں گوندھا گیا مجھے
اس میں تو آسماں کے شجر بھی ثمر نہ دیں
جس خاک بے نمود میں گوندھا گیا مجھے
قوس قزح کی سمت بہت دیکھتا تھا میں
آخر غبار و دود میں گوندھا گیا مجھے
mitti tha aur dudh mein gundha gaya mujhe
ik chand ke wajud mein gundha gaya mujhe
main nist aur nabod ki ik kaifiyat mein tha
jab wahm hast-o-bud mein gundha gaya mujhe
main chashm-e-kam rasa se jise dekhta na tha
is khwab la hudud mein gundha gaya mujhe
khas khana ziyan ki sharar bariyon ke baad
yakh zar nar sud mein gundha gaya mujhe
ik dast-e-ghaib ne mujhe la chak par dhara
phir waqt ke jumud mein gundha gaya mujhe
is mein to asman ke shajar bhi samar na den
jis khak be numud mein gundha gaya mujhe
qaus-e-quzah ki samt bahut dekhta tha main
akhir ghubar-o-dud mein gundha gaya mujhe