تاج میں ہو بھی سکتا ہے
Ejaz Haidar (b. 1963)تاج میں ہو بھی سکتا ہے
ہیرا کھو بھی سکتا ہے
جاگے بھاگ تو مان نہ کر
بخت ہے سو بھی سکتا ہے
آنکھ میں رہنے والے سن
اشک ڈبو بھی سکتا ہے
وہ قہار بھی ہے لیکن
بندہ رو بھی سکتا ہے
جس میں کاٹنے کا دم ہو
وہ ہی بو بھی سکتا ہے
کون کسی کا ہے اعجازؔ
کیا کوئی ہو بھی سکتا ہے
taj mein ho bhi sakta hai
hira kho bhi sakta hai
jage bhag to man na kar
bakht hai so bhi sakta hai
ankh mein rahne wale sun
ashk dubo bhi sakta hai
wo qahhar bhi hai lekin
banda ro bhi sakta hai
jis mein katne ka dam ho
wo hi bu bhi sakta hai
kaun kisi ka hai ejaz
kya koi ho bhi sakta hai