جب سے امید باندھی پتھر پر
Nabeel Ahmad Nabeel (b. 1982)جب سے امید باندھی پتھر پر
دھول سی جم گئی مقدر پر
کس نے چادر دھویں کی تانی ہے
میرے جنت مثال منظر پر
میرے چارہ گروں نے رکھا ہے
ایک اک راستے کو ٹھوکر پر
آسماں کی طلب میں کٹ کر بھی
پھڑپھڑاتے رہے برابر پر
پاس تیر و کماں کے ہوتے ہوئے
خوف طاری ہے میرے لشکر پر
جب گھڑی امتحان کی آئی
میں نے رکھ دی زباں اخگر پر
قید کمرے میں ہو گیا ہوں نبیلؔ
پھینک کر میں گلی سے باہر پر
jab se ummid bandhi patthar par
dhul si jam gai muqaddar par
kis ne chadar dhuen ki tani hai
mere jannat misal manzar par
mere chara garon ne rakha hai
ek ik raste ko thokar par
asman ki talab mein kat kar bhi
pharpharate rahe barabar par
pas tir-o-kaman ke hote hue
khauf tari hai mere lashkar par
jab ghari imtihan ki ai
main ne rakh di zaban akhgar par
qaid kamre mein ho gaya hun nabil
phenk kar main gali se bahar par