اک یہی اب مرا حوالہ ہے
Nabeel Ahmad Nabeel (b. 1982)اک یہی اب مرا حوالہ ہے
روح زخمی ہے جسم چھالا ہے
سیکڑوں بار سوچ کر میں نے
تیرے سانچے میں خود کو ڈھالا ہے
کھنچنے والا ہے آسماں سر سے
حادثہ یہ بھی ہونے والا ہے
اک خدا ترس موج نے مجھ کو
ساحلوں کی طرف اچھالا ہے
غالب آئی ہوس محبت پر
آرزوؤں کا رنگ کالا ہے
اک طرف جام عافیت کے ہیں
اک طرف زہر کا ہی پیالہ ہے
کار دنیا کی آرزو نے نبیلؔ
مجھ کو سو الجھنوں میں ڈالا ہے
ik yahi ab mira hawala hai
ruh zakhmi hai jism chhala hai
saikron bar soch kar main ne
tere sanche mein khud ko dhala hai
khinchne wala hai asman sar se
hadisa ye bhi hone wala hai
ik khuda taras mauj ne mujh ko
sahilon ki taraf uchhala hai
ghalib ai hawas mohabbat par
arzuon ka rang kala hai
ik taraf jam afiyat ke hain
ik taraf zahr ka hi pyala hai
kar duniya ki arzu ne nabil
mujh ko so uljhanon mein dala hai