سر جھکا کر شاہ کے دربار میں
Nabeel Ahmad Nabeel (b. 1982)سر جھکا کر شاہ کے دربار میں
چھید ہم نے سو کیے دستار میں
زندگانی جیسی یہ انمول شے
کاٹ دی ہے حسرت بے کار میں
دامنوں میں بھرتے ہیں محرومیاں
لے کے خالی جیب ہم بازار میں
سرخیاں بن کر اگلتی ہے لہو
آدمیت شام کے اخبار میں
سر کو ٹکراتے رہے ہم عمر بھر
در کوئی نکلا نہیں دیوار میں
جس قدر بھرتا رہا اونچی اڑان
آدمی گرتا گیا معیار میں
سب پرندے کر گئے ہجرت نبیلؔ
کون بیٹھے سایۂ اشجار میں
sar jhuka kar shah ke darbar mein
chhed ham ne so kiye dastar mein
zindagani jaisi ye anmol shai
kat di hai hasrat-e-be kar mein
damanon mein bharte hain mahrumiyan
le ke khali jeb ham bazar mein
surkhiyan ban kar ugalti hai lahu
admiyyat sham ke akhbar mein
sar ko takrate rahe ham umr bhar
dar koi nikla nahin diwar mein
jis qadar bharta raha unchi uran
admi girta gaya meyar mein
sab parinde kar gae hijrat nabil
kaun baithe saya-e-ashjar mein