آپ اگر مہرباں نہیں ہوتے
Fahmi Badayuni (b. 1952)آپ اگر مہرباں نہیں ہوتے
ہم جہاں ہیں وہاں نہیں ہوتے
چاہے جتنے بلند ہوں بادل
یہ کبھی آسماں نہیں ہوتے
جن کے بس میں زبان رہتی ہے
وہ کبھی بے زباں نہیں ہوتے
جو تماشے پسند ہیں مجھ کو
وہ تماشے یہاں نہیں ہوتے
دشت کی بات اور ہے ورنہ
قیس لیلیٰ کہاں نہیں ہوتے
پیڑ پھل دار کٹ گئے جب سے
باغ میں باغباں نہیں ہوتے
دھیان رکھیں پکارنے والے
ہم جہاں ہیں وہاں نہیں ہوتے
ap agar mehrban nahin hote
ham jahan hain wahan nahin hote
chahe jitne buland hun badal
ye kabhi asman nahin hote
jin ke bas mein zaban rahti hai
wo kabhi be zaban nahin hote
jo tamashe pasand hain mujh ko
wo tamashe yahan nahin hote
dasht ki bat aur hai warna
qais laila kahan nahin hote
per phal dar kat gae jab se
bagh mein baghban nahin hote
dhyan rakhen pukarne wale
ham jahan hain wahan nahin hote