مل کے اک بار اسے یاد نہیں ہونے کے
Fahmida Mosarrat Ahmad (b. 1968)مل کے اک بار اسے یاد نہیں ہونے کے
دل کے اجڑے نگر آباد نہیں ہونے کے
اب نئے ظلم تو ایجاد نہیں ہونے کے
صاحبا ہم کوئی فریاد نہیں ہونے کے
سچے عشاق تو ناپید ہوئے دنیا میں
اب کوئی شیریں و فرہاد نہیں ہونے کے
دل میں ٹھانی ہے بھلا دیں تمہیں دھیرے دھیرے
اور اس عشق میں برباد نہیں ہونے کے
ایک وعدے نے یوں پابستہ کیا ہے ہم کو
اب کسی طور بھی آزاد نہیں ہونے کے
ہم نے ہر حال میں جینے کی قسم کھائی ہے
ہم کبھی زیست میں ناشاد نہیں ہونے کے
ایک کم ظرف سے کیا ظرف کی امید کریں
ہیں جو بونے کبھی شمشاد نہیں ہونے کے
mil ke ik bar use yad nahin hone ke
dil ke ujre nagar abad nahin hone ke
ab nae zulm to ijad nahin hone ke
sahba ham koi fariyad nahin hone ke
sachche ushshaq to napaid hue duniya mein
ab koi shirin-o-farhad nahin hone ke
dil mein thani hai bhula den tumhen dhire dhire
aur is ishq mein barbad nahin hone ke
ek waade ne yun pabasta kiya hai ham ko
ab kisi taur bhi azad nahin hone ke
ham ne har hal mein jine ki qasam khai hai
ham kabhi zist mein nashad nahin hone ke
ek kam zarf se kya zarf ki ummid karen
hain jo bone kabhi shamshad nahin hone ke