جلے ہیں دل نہ چراغوں نے روشنی کی ہے
Badiuzzaman Khawar (1938–1990)جلے ہیں دل نہ چراغوں نے روشنی کی ہے
وہ شب پرستوں نے محفل میں تیرگی کی ہے
حدیث ظلم و ستم ہے ہنوز نا گفتہ
ہنوز مہر زبانوں پہ خامشی کی ہے
اس ایک جام نے ساقی کی جو عطا ٹھہرا
سکوں دیا ہے نہ کچھ درد میں کمی کی ہے
ہمیں یہ ناز نہ کیوں ہو کہ نے نواز ہیں ہم
ہمارے ہونٹوں نے ایجاد نغمگی کی ہے
چمن میں صرف ہمیں راز داں ہیں کانٹوں کے
گلوں کے ساتھ بسر ہم نے زندگی کی ہے
فراق یار نے بخشی ہے وصل کی لذت
خیال یار نے ظلمت میں روشنی کی ہے
ہیں جس کی دید سے محروم آج تک خاورؔ
اسی کی ہم نے تصور میں بندگی کی ہے
jale hain dil na charaghon ne raushni ki hai
wo shab paraston ne mahfil mein tirgi ki hai
hadis-e-zulm-o-sitam hai hanoz na gufta
hanoz mehr zabanon pe khamushi ki hai
us ek jam ne saqi ki jo ata thahra
sukun diya hai na kuchh dard mein kami ki hai
hamen ye naz na kyun ho ke ne nawaz hain ham
hamare honton ne ijad naghmagi ki hai
chaman mein sirf hamen raz dan hain kanton ke
gulon ke sath basar ham ne zindagi ki hai
firaq-e-yar ne bakhshi hai wasl ki lazzat
khayal-e-yar ne zulmat mein raushni ki hai
hain jis ki did se mahrum aj tak khawar
usi ki ham ne tasawwur mein bandagi ki hai