روشنی ہی روشنی ہے شہر میں
Badiuzzaman Khawar (1938–1990)روشنی ہی روشنی ہے شہر میں
پھر بھی گویا تیرگی ہے شہر میں
روز و شب کے شور و غل کے باوجود
اک طرح کی خامشی ہے شہر میں
ریل کی پٹری پہ سو جاتے ہیں لوگ
کتنی آساں خود کشی ہے شہر میں
جو عمارت ہے وہ سر سے پاؤں تک
اشتہاروں سے سجی ہے شہر میں
گاؤں چھوڑے ہو چکی مدت مگر
خاورؔ اب تک اجنبی ہے شہر میں
raushni hi raushni hai shahr mein
phir bhi goya tirgi hai shahr mein
roz-o-shab ke shor-o-ghul ke bawajud
ik tarah ki khamushi hai shahr mein
rel ki patri pe so jate hain log
kitni asan khud kashi hai shahr mein
jo imarat hai wo sar se paon tak
ishtiharon se saji hai shahr mein
gaon chhore ho chuki muddat magar
khawar ab tak ajnabi hai shahr mein