کسی بھی رہنمائی کا کوئی دعویٰ نہیں کرتے
Varun Gagneja Wahid (b. 1980)کسی بھی رہنمائی کا کوئی دعویٰ نہیں کرتے
ہماری چاہتوں نے تو بڑے اقرار دیکھے ہیں
کسی انکار پر ہم دل کبھی چھوٹا نہیں کرتے
سرابوں کی حقیقت سے بہت اچھے سے واقف ہیں
کبھی بھی خواب کا ہم دن میں تو پیچھا نہیں کرتے
یہاں ہر شے کی قیمت بس محبت ہی محبت ہے
فقیروں سے کبھی جذبات کا سودا نہیں کرتے
مسلسل حادثوں نے یہ بھی شفقت چھین لی ہم سے
کوئی جب چھوڑ جاتا ہے تو ہم سوچا نہیں کرتے
کبھی پھر ہجرتوں کا ان کے من سے ڈر نہ نکلے گا
پرندے سو رہے ہوں جب شجر کاٹا نہیں کرتے
سجے بازار میں بک جائیں یہ لالچ تو ہے واحدؔ
مگر انعام کی خاطر سخن ہلکا نہیں کرتے
kisi bhi rahnumai ka koi daawa nahin karte
hamari chahaton ne to bare iqrar dekhe hain
kisi inkar par ham dil kabhi chhota nahin karte
sarabon ki haqiqat se bahut achchhe se waqif hain
kabhi bhi khwab ka ham din mein to pichha nahin karte
yahan har shai ki qimat bas mohabbat hi mohabbat hai
faqiron se kabhi jazbat ka sauda nahin karte
musalsal hadson ne ye bhi shafqat chhin li ham se
koi jab chhor jata hai to ham socha nahin karte
kabhi phir hijraton ka un ke man se dar na niklega
parinde so rahe hun jab shajar kata nahin karte
saje bazar mein bik jaen ye lalach to hai wahid
magar inam ki khatir sukhan halka nahin karte