ندیوں کے پانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
Tahir Hanfi (b. 1955)ندیوں کے پانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
درد کی روانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
یاد جب وہ آتی ہے ساز بجنے لگتے ہیں
پیار کی نشانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
اک دھنک اترتی ہے اس کے ساتھ آنگن میں
رنگ آسمانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
لفظ گنگناتے ہیں صبح کے اجالے میں
حسن نوجوانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
آج یاد رفتہ نے سیر کی پشاور کی
اب بھی قصہ خوانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
جب الاؤ روشن ہو لوگ بیٹھ جاتے ہیں
رات بھر کہانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
ہے یقیں گماں جیسا اور گماں یقیں جیسا
کس کی خوش گمانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
انتظار کرتا ہے آج بھی ترا طاہرؔ
اب بھی رت سہانی میں چوڑیاں کھنکتی ہیں
nadiyon ke pani mein chauriyan khanakti hain
dard ki rawani mein chauriyan khanakti hain
yad jab wo ati hai saz bajne lagte hain
pyar ki nishani mein chauriyan khanakti hain
ik dhanak utarti hai us ke sath angan mein
rang asmani mein chauriyan khanakti hain
lafz gungunate hain subh ke ujale mein
husn naujawani mein chauriyan khanakti hain
aj yad rafta ne sair ki pushaur ki
ab bhi qissa khwani mein chauriyan khanakti hain
jab alao raushan ho log baith jate hain
rat bhar kahani mein chauriyan khanakti hain
hai yaqin guman jaisa aur guman yaqin jaisa
kis ki khush gumani mein chauriyan khanakti hain
intizar karta hai aj bhi tira tahir
ab bhi rut suhani mein chauriyan khanakti hain