مری وفا کی وہ پہچان بھی نہیں رکھتے
Hafiz Karnataki (b. 1964)مری وفا کی وہ پہچان بھی نہیں رکھتے
صلہ تو دور ہے احسان بھی نہیں رکھتے
وہ برکتوں کے فرشتوں کے انتظار میں ہیں
گھروں میں اپنے جو قرآن بھی نہیں رکھتے
جنہیں خلوص کی خوشبو عزیز ہوتی ہے
وہ اپنی میز پہ گلدان بھی نہیں رکھتے
وہ حادثوں سے ڈراتے ہیں اپنے بچوں کو
دیوں کے سامنے طوفان بھی نہیں رکھتے
بڑے عجیب مسافر ہیں ہم بھی اے حافظؔ
سفر پہ نکلے ہیں سامان بھی نہیں رکھتے
miri wafa ki wo pahchan bhi nahin rakhte
sila to dur hai ehsan bhi nahin rakhte
wo barkaton ke farishton ke intizar mein hain
gharon main apne jo quran bhi nahin rakhte
jinhen khulus ki khushbu aziz hoti hai
wo apni mez pe guldan bhi nahin rakhte
wo hadson se darate hain apne bachchon ko
diyon ke samne tufan bhi nahin rakhte
bare ajib musafir hain ham bhi ai hafiz
safar pe nikle hain saman bhi nahin rakhte