جب کبھی اپنی تمناؤں کا گلشن دیکھا
Naeem Sahil (b. 1964)جب کبھی اپنی تمناؤں کا گلشن دیکھا
میں نے دل سوز زمانے کو بھی دشمن دیکھا
اپنے بارے میں غلط فہمی ہوئی ہے جب بھی
میں نے ہر بار پرانا کوئی درپن دیکھا
اس قدر کھویا ہوا تھا میں تری یادوں میں
صحرا دیکھا نہ کبھی راہ میں گلشن دیکھا
کیفیت دل کی بیاں کرتی تھیں آنکھیں سب کی
میں نے ہر شخص کا بھیگا ہوا دامن دیکھا
دشمنی میں بھی محبت سے وہ پیش آتا ہے
اس کے جیسا نہ کوئی دوست نہ دشمن دیکھا
ہو گیا اس کی میں عظمت کا جہاں میں قائل
جب کہیں بھی کسی دانا کو فروتن دیکھا
تیرا شیدائی ہوں میں روز ازل سے ساحلؔ
زندگی تجھ کو ہر اک دور میں احسن دیکھا
jab kabhi apni tamannaon ka gulshan dekha
main ne dil soz zamane ko bhi dushman dekha
apne bare mein ghalat fahmi hui hai jab bhi
main ne har bar purana koi darpan dekha
is qadar khoya hua tha main tiri yadon mein
sahra dekha na kabhi rah mein gulshan dekha
kaifiyat-e-dil ki bayan karti thin ankhen sab ki
main ne har shakhs ka bhiga hua daman dekha
dushmani mein bhi mohabbat se wo pesh ata hai
us ke jaisa na koi dost na dushman dekha
ho gaya us ki main azmat ka jahan mein qail
jab kahin bhi kisi dana ko farotan dekha
tera shaidai hun main roz-e-azal se sahil
zindagi tujh ko har ik daur mein ahsan dekha