محبت میں بڑا چھوٹا نہیں ہے
Ujjawal Vashishtha (b. 1997)محبت میں بڑا چھوٹا نہیں ہے
مگر ایسا کبھی ہوتا نہیں ہے
ابھی کیسے کہیں ہم بات دل کی
ابھی تو نام بھی پوچھا نہیں ہے
نہ جانے کب بہا لے جائے آنسو
کسی کے بس میں یہ دریا نہیں ہے
ابھی آسان ہے مجھ کو ڈبونا
یقیں کا پل ابھی ٹوٹا نہیں ہے
شجر سارے برہنہ جسم کیوں ہیں
ابھی موسم تو پت جھڑ کا نہیں ہے
تمہارے ہاتھ بھی ہیں آج خالی
ہمارے پاس بھی کاسہ نہیں ہے
تمہارے شہر میں میں اجنبی ہوں
یہاں مجھ کو کوئی خطرہ نہیں ہے
میں کرتا رہتا ہوں خدمت ادب کی
یہ میرا شوق ہے پیشہ نہیں ہے
mohabbat mein bara chhota nahin hai
magar aisa kabhi hota nahin hai
abhi kaise kahen ham bat dil ki
abhi to nam bhi puchha nahin hai
na jane kab baha le jae ansu
kisi ke bas mein ye dariya nahin hai
abhi asan hai mujh ko dubona
yaqin ka pal abhi tuta nahin hai
shajar sare barahna jism kyun hain
abhi mausam to pat jhar ka nahin hai
tumhare hath bhi hain aj khali
hamare pas bhi kasa nahin hai
tumhare shahr mein main ajnabi hun
yahan mujh ko koi khatra nahin hai
main karta rahta hun khidmat adab ki
ye mera shauq hai pesha nahin hai