میکدے کی شرط دور بادہ و ساغر کی قید
Saba Naqvi (b. 1940)میکدے کی شرط دور بادہ و ساغر کی قید
ایک میری تشنگی اور اس پہ دنیا بھر کی قید
عشق میں صحرا نوردی کا بہانہ چاہئے
وحشت دل کے لئے اچھی نہیں ہے گھر کی قید
ماورا عرش ہے میرے تخیل کی اڑان
حرف بے معنی سمجھتا ہوں میں بال و پر کی قید
داعی سوز جگر ہو کیوں نہ پروانے کی خاک
شمع محفل کے لئے ہے موم کے پیکر کی قید
زندگی کا ماحصل ہے اضطراب زندگی
جادۂ الفت میں لازم ہے دل مضطر کی قید
آدمی کی خواب گاہیں ہیں صلیب و تیغ بھی
نیند سے بے تاب آنکھوں کو نہیں بستر کی قید
کیا جہان رنگ و نکہت کی قسم کافی نہ تھی
کیوں پئے سوگند رکھی تم نے اپنے سر کی قید
وقت کے سیل رواں کے سامنے کچھ بھی نہیں
بادبان عزم کی بندش ہو یا لنگر کی قید
سر بہ سجدہ جب کبھی ذوق جبیں سائی ہوا
جذب الفت نے لگا دی اس کے سنگ در کی قید
کیا کسی دریا کی لہریں گن نہیں سکتا تھا میں
خواب میں رکھی گئی کیوں ریت کے منظر کی قید
میری نظروں میں محبت وہ عبادت ہے صباؔ
جس عبادت میں نہیں ہے پھول اور پتھر کی قید
maikade ki shart daur-e-bada-o-saghar ki qaid
ek meri tishnagi aur us pe duniya bhar ki qaid
ishq mein sahra nawardi ka bahana chahiye
wahshat-e-dil ke liye achchhi nahin hai ghar ki qaid
mawara-e-arsh hai mere takhayyul ki uran
harf-e-be maani samajhta hun main bal-o-par ki qaid
dai-e-soz-e-jigar ho kyun na parwane ki khak
sham-e-mahfil ke liye hai mom ke paikar ki qaid
zindagi ka mahasal hai iztirab-e-zindagi
jada-e-ulfat mein lazim hai dil-e-muztar ki qaid
admi ki khwab gahen hain salib-o-tegh bhi
nind se be tab ankhon ko nahin bistar ki qaid
kya jahan-e-rang-o-nikhat ki qasam kafi na thi
kyun piye saugand rakhi tum ne apne sar ki qaid
waqt ke sail-e-rawan ke samne kuchh bhi nahin
badban-e-azm ki bandish ho ya langar ki qaid
sar ba sajda jab kabhi zauq-e-jabin sai hua
jazb-e-ulfat ne laga di us ke sang dar ki qaid
kya kisi dariya ki lahren gin nahin sakta tha main
khwab mein rakhi gai kyun ret ke manzar ki qaid
meri nazron mein mohabbat wo ibadat hai saba
jis ibadat mein nahin hai phul aur patthar ki qaid