جہاں پہ ہوتا ہوں اکثر وہاں نہیں ہوتا
Nadeem ahmad (b. 1979)جہاں پہ ہوتا ہوں اکثر وہاں نہیں ہوتا
وہیں تلاش کرو میں جہاں نہیں ہوتا
اگر تمہاری زباں سے بیاں نہیں ہوتا
مرا وجود کبھی داستاں نہیں ہوتا
بچھڑ گیا تھا وہ ملنے سے پیشتر ورنہ
میں اس طرح سے کبھی رائیگاں نہیں ہوتا
نظر بچا کے نکلنا تو چاہتا ہوں مگر
وہ کس جگہ سے ہے غائب کہاں نہیں ہوتا
کبھی تو یوں کہ مکاں کے مکیں نہیں ہوتے
کبھی کبھی تو مکیں کا مکاں نہیں ہوتا
jahan pe hota hun aksar wahan nahin hota
wahin talash karo main jahan nahin hota
agar tumhari zaban se bayan nahin hota
mira wajud kabhi dastan nahin hota
bichhar gaya tha wo milne se peshtar warna
main is tarah se kabhi raigan nahin hota
nazar bacha ke nikalna to chahta hun magar
wo kis jagah se hai ghaib kahan nahin hota
kabhi to yun ke makan ke makin nahin hote
kabhi kabhi to makin ka makan nahin hota