عاقل ہے با شعور ہے کافی ذہین بھی
Qamar Aasi (b. 1987)عاقل ہے با شعور ہے کافی ذہین بھی
اس پر ہے مستزاد وہ از حد حسین بھی
بوسہ کسی بھی پھول کا ہم نے نہیں لیا
رخسار منتظر رہے لب بھی جبین بھی
گھر لے لیا ہے عین ترے گھر کے سامنے
اور اک خرید لایا ہوں میں دوربین بھی
سب کام ہو رہے ہیں عجیب اس قدر عجیب
لکھنے سے پہلے سوچتے ہیں کاتبین بھی
اک شوخ و شنگ طفل چھپا ہے درون دل
سنجیدہ لگ رہا ہوں بظاہر متین بھی
آنکھوں میں جس کی رحم ہو ہاتھوں میں روٹیاں
وہ شخص مفلسوں کا دھرم بھی ہے دین بھی
انسانیت کے جسم پہ چند ایسے داغ ہیں
جن پر ہے شرمسار فلک اور زمین بھی
ہنستے ہوئے مرے گا کوئی دل گزیدہ شخص
آئے گا اس ڈرامے کے اندر وہ سین بھی
اشعار گر سفر نہ کریں دل سے دل تلک
دیتے نہیں ہیں داد قمرؔ سامعین بھی
aqil hai ba shuur hai kafi zahin bhi
us par hai mustazad wo az had hasin bhi
bosa kisi bhi phul ka ham ne nahin liya
rukhsar muntazir rahe lab bhi jabin bhi
ghar le liya hai ain tire ghar ke samne
aur ik kharid laya hun main durbin bhi
sab kam ho rahe hain ajib is qadar ajib
likhne se pahle sochte hain katibin bhi
ik shokh-o-shang tifl chhupa hai darun-e-dil
sanjida lag raha hun bazahir matin bhi
ankhon mein jis ki rahm ho hathon mein rotiyan
wo shakhs muflison ka dharm bhi hai din bhi
insaniyat ke jism pe chand aise dagh hain
jin par hai sharmsar falak aur zamin bhi
hanste hue mire ga koi dil gazida shakhs
aega is darame ke andar wo sain bhi
ashar gar safar na karen dil se dil talak
dete nahin hain dad qamar samiin bhi