ورق وہی تھا مگر دوسری پرت چاہی
aabid umar (b. 1977)ورق وہی تھا مگر دوسری پرت چاہی
کہ میں نے اس کی محبت سے منفعت چاہی
مزا عجب تھا محبت بھری لڑائی میں
کہ چھیڑ کر اسے فوری مزاحمت چاہی
بچھڑتے وقت اسے مڑ کے بھی نہیں دیکھا
تمام عمر جدائی میں عافیت چاہی
میں اور ہی تھا جدا ہی تھا اس زمانے سے
اور اس نے قیس کے جیسی مطابقت چاہی
خود اپنی زیست کو برباد کر لیا آخر
کہ جس نے مجھ سے ذرا بھی منافقت چاہی
نہ جانے کیوں مجھے ٹھکرا دیا زمانے نے
نہ سیم و زر کی طلب کی نہ سلطنت چاہی
بس ایک بار مجھے کھول کر پڑھا عابدؔ
پھر اس نے میری محبت سے معذرت چاہی
waraq wahi tha magar dusri parat chahi
ke main ne us ki mohabbat se munfaat chahi
maza ajab tha mohabbat bhari larai mein
ke chher kar use fauri muzahamat chahi
bichharte waqt use mur ke bhi nahin dekha
tamam umr judai mein afiyat chahi
main aur hi tha juda hi tha is zamane se
aur us ne qais ke jaisi mutabaqat chahi
khud apni zist ko barbad kar liya akhir
ke jis ne mujh se zara bhi munafaqat chahi
na jane kyun mujhe thukra diya zamane ne
na sim-o-zar ki talab ki na saltanat chahi
bas ek bar mujhe khol kar parha abid
phir us ne meri mohabbat se maazarat chahi