غم دوراں کا مداوا غم جاناں بھی نہیں
Rafeeq Jabir (b. 1931)غم دوراں کا مداوا غم جاناں بھی نہیں
زیست دشوار نہیں ہے تو کچھ آساں بھی نہیں
عرصۂ دہر سے ہم اہل جنوں کو نسبت
اس کی وسعت بہ حد عالم امکاں بھی نہیں
ہر نفس ایک خلش سی ہے رگ جاں کے قریب
اور نشتر کوئی پیوست رگ جاں بھی نہیں
دیکھیے وقت نے کس کس کے اڑائے پرزے
ان کا دامن بھی نہیں میرا گریباں بھی نہیں
ایک ہی مرد حق آگاہ ہے بندہ یا رب
کہ یہ کافر جو نہیں ہے تو مسلماں بھی نہیں
منزل غم سے گزرنا ہے اور اس پر جابرؔ
دشت وحشت میں کسی شوخ کا داماں بھی نہیں
gham-e-dauran ka mudawa-e-gham-e-janan bhi nahin
zist dushwar nahin hai to kuchh asan bhi nahin
arsa-e-dahr se ham ahl junun ko nisbat
us ki wusat ba had-e-alam-e-imkan bhi nahin
har nafas ek khalish si hai rag-e-jan ke qarib
aur nashtar koi paiwast-e-rag-e-jan bhi nahin
dekhiye waqt ne kis kis ke urae purze
un ka daman bhi nahin mera gareban bhi nahin
ek hi mard-e-haq agah hai banda ya rab
ke ye kafir jo nahin hai to musalman bhi nahin
manzil-e-gham se guzarna hai aur us par jabir
dasht-e-wahshat mein kisi shokh ka daman bhi nahin