غور سے مجھ کو دیکھتا ہے کیا
Nadim Nadeem (b. 1994)غور سے مجھ کو دیکھتا ہے کیا
میرے چہرے پہ کچھ لکھا ہے کیا
میری آنکھوں میں جھانکتا ہے کیا
تجھ کو ان میں ہی ڈوبنا ہے کیا
میرے ہونٹوں کو چھو لیا اس نے
کیا بتاؤں مجھے ہوا ہے کیا
اے کبوتر ذرا بتا مجھ کو
ان کی چھت پر بھی بیٹھتا ہے کیا
پر کٹے پنچھیوں سے پوچھتے ہو
تم میں اڑنے کا حوصلہ ہے کیا
فاصلے عشق میں ہی ہوتے ہیں
تجھ کو یہ بھی نہیں پتا ہے کیا
میری دنیا میں بس تو ہی تو ہے
اب بتا تیرا فیصلہ ہے کیا
پیار سے مانگ لی ہے جان اس نے
میرے حصے میں اب بچا ہے کیا
چل کہیں دور چلتے ہیں نادمؔ
گھر کو جانے میں بھی رکھا ہے کیا
ghaur se mujh ko dekhta hai kiya
mere chehre pe kuchh likha hai kiya
meri ankhon mein jhankta hai kiya
tujh ko un mein hi dubna hai kiya
mere honton ko chhu liya us ne
kya bataun mujhe hua hai kiya
ai kabutar zara bata mujh ko
un ki chhat par bhi baithta hai kiya
par kate panchhiyon se puchhte ho
tum mein urne ka hausla hai kiya
fasle ishq mein hi hote hain
tujh ko ye bhi nahin pata hai kiya
meri duniya mein bas tu hi to hai
ab bata tera faisla hai kiya
pyar se mang li hai jan us ne
mere hisse mein ab bacha hai kiya
chal kahin dur chalte hain nadim
ghar ko jane mein bhi rakha hai kiya