ڈرا رہی تھی مجھے اور ڈر لیا میں نے
Osama Khalid (b. 1998)ڈرا رہی تھی مجھے اور ڈر لیا میں نے
پھر ایک روز محبت کا سر لیا میں نے
کسی سے مانگی مسلسل رسد اذیت کی
پھر اپنے سائے کو دیوار کر لیا میں نے
پہن رہے تھے کسی غم کا پیرہن کچھ لوگ
اگرچہ مہنگا پڑا مجھ کو پر لیا میں نے
بغیر اداسی مناسب نہیں تھا گھر جانا
یہ انتظام اسے چھو کے کر لیا میں نے
تمام ہو گئی مجھ پر کسی کی حجت دوست
جہاں نہیں تھا بپھرنا بپھر لیا میں نے
dara rahi thi mujhe aur dar liya main ne
phir ek roz mohabbat ka sar liya main ne
kisi se mangi musalsal rasad aziyyat ki
phir apne sae ko diwar kar liya main ne
pahan rahe the kisi gham ka pairahan kuchh log
agarche mahnga para mujh ko par liya main ne
baghair udasi munasib nahin tha ghar jana
ye intizam use chhu ke kar liya main ne
tamam ho gai mujh par kisi ki hujjat dost
jahan nahin tha bipharna biphar liya main ne