اشک آنکھوں میں جگر میں درد سوزش دل میں ہے
Faheem Gorakhpuri (b. 1878)اشک آنکھوں میں جگر میں درد سوزش دل میں ہے
اک محبت کی بدولت گھر کا گھر مشکل میں ہے
جب نہ یہ دنیا تھی قائم تو ہمارے دل میں تھا
جب سے یہ دنیا ہے قائم تو ہمارے دل میں ہے
اضطراب تیغ مقتل میں کوئی دیکھے ذرا
صاف ہوتا ہے گماں بجلی کف قاتل میں ہے
آج ان کے جور کے شکوے ہیں کیا کیا حشر میں
آج کیسی ان کی رسوائی بھری محفل میں ہے
نزع میں اے نا مرادی اس کی تو رہنا گواہ
جو مرے دل کی تمنا تھی وہ میرے دل میں ہے
قتل ہو کر بھی رہا قاتل سے قائم واسطہ
روح میری بن کے جوہر خنجر قاتل میں ہے
ہوشیار اے رہرو راہ محبت ہوشیار
ہر قدم پر جان کا کھٹکا تری منزل میں ہے
اے خیال ترک الفت قہر ہے مٹ جائے گی
یہ جو اک دنیائے غم آباد میرے دل میں ہے
نقص سے خالی نہیں ہوتے حسیں بھی اے فہیمؔ
دیکھ تو سوئے فلک دھبہ مہ کامل میں ہے
ashk ankhon mein jigar mein dard sozish dil mein hai
ik mohabbat ki badaulat ghar ka ghar mushkil mein hai
jab na ye duniya thi qaim to hamare dil mein tha
jab se ye duniya hai qaim to hamare dil mein hai
iztirab-e-tegh-e-maqtal mein koi dekhe zara
saf hota hai guman bijli kaf-e-qatil mein hai
aj un ke jaur ke shikwe hain kya kya hashr mein
aj kaisi un ki ruswai bhari mahfil mein hai
nazaa mein ai na muradi us ki to rahna gawah
jo mire dil ki tamanna thi wo mere dil mein hai
qatl ho kar bhi raha qatil se qaim wasta
ruh meri ban ke jauhar khanjar-e-qatil mein hai
hoshyar ai rahrau-e-rah-e-mohabbat hoshyar
har qadam par jan ka khatka tiri manzil mein hai
ai khayal-e-tark-e-ulfat qahr hai mit jaegi
ye jo ik duniya-e-gham abad mere dil mein hai
naqs se khali nahin hote hasin bhi ai fahim
dekh to su-e-falak dhabba mah-e-kamil mein hai