وہ جتنے دور ہیں اتنے ہی میرے پاس بھی ہیں
Faiz ul Hasan Khayalوہ جتنے دور ہیں اتنے ہی میرے پاس بھی ہیں
یہ اور بات ہے خوش ہیں مگر اداس بھی ہیں
یہ دیکھنا ہے ہمیں کس کا ذوق کیسا ہے
یہاں شراب بھی ہے زہر کے گلاس بھی ہیں
انہی پہ تہمت دیوانگی لگاتے ہو
جو اتفاق سے محفل میں روشناس بھی ہیں
جو روشنی کے لبادے کو اوڑھ کر آئے
شب سیاہ کے وہ ماتمی لباس بھی ہیں
تم اپنے شہر میں امن و اماں کی بات کرو
جہاں سکوں ہے وہاں لوگ بد حواس بھی ہیں
وہاں پہ آہ بہ لب بھی ہیں محو یاس بھی ہیں
wo jitne dur hain itne hi mere pas bhi hain
ye aur bat hai khush hain magar udas bhi hain
ye dekhna hai hamen kis ka zauq kaisa hai
yahan sharab bhi hai zahr ke gilas bhi hain
unhi pe tohmat diwangi lagate ho
jo ittifaq se mahfil mein rushanas bhi hain
jo raushni ke labade ko orh kar ae
shab-e-siyah ke wo matami libas bhi hain
tum apne shahr mein amn-o-aman ki bat karo
jahan sukun hai wahan log bad hawas bhi hain
wahan pe ah ba lab bhi hain mahw-e-yas bhi hain