ماہ کتنے ہیں سال کتنے ہیں
G R Kanwal (b. 1935)ماہ کتنے ہیں سال کتنے ہیں
ہجر کتنے وصال کتنے ہیں
بھیڑ تو بستیوں میں کافی ہے
آدمی با کمال کتنے ہیں
جنگ تیری بڑی طویل سہی
معرکے بے مثال کتنے ہیں
لوگ برسوں سمجھ نہیں پاتے
ان کے شیشے میں بال کتنے ہیں
جس کی قسمت میں ہیں عروج بہت
دیکھ یہ بھی زوال کتنے ہیں
تو ہے خاموش اور برسوں سے
میرے دل میں سوال کتنے ہیں
کیا خبر ہے کنولؔ مجھے کھو کر
اس کے دل میں ملال کتنے ہیں
mah kitne hain sal kitne hain
hijr kitne wisal kitne hain
bhir to bastiyon mein kafi hai
admi ba kamal kitne hain
jang teri bari tawil sahi
marke be misal kitne hain
log barson samajh nahin pate
un ke shishe mein bal kitne hain
jis ki qismat mein hain uruj bahut
dekh ye bhi zawal kitne hain
tu hai khamosh aur barson se
mere dil mein sawal kitne hain
kya khabar hai kanwal mujhe kho kar
us ke dil mein malal kitne hain