اس گرمئ بازار سے بڑھ کر نہیں کچھ بھی
Partav Rohila (1932–2016)اس گرمئ بازار سے بڑھ کر نہیں کچھ بھی
سچ جانیے دکان کے اندر نہیں کچھ بھی
ہم جہد مسلسل سے جہاں ٹوٹ کے گر جائیں
وہ لمحہ حقیقت ہے مقدر نہیں کچھ بھی
مجبور تجسس نے کیا ہے ہمیں ورنہ
اس قید کی دیوار کے باہر نہیں کچھ بھی
یہ میری تمنا ہے کہ جنبش میں ہیں پردے
اک خواہش پیہم ہے پس در نہیں کچھ بھی
افکار کی اقلیم وراثت ہے ہماری
اور اس کے سوا ہم کو میسر نہیں کچھ بھی
درویش بھی ہوتے ہوئے ہم ایسے غنی ہیں
دارائی دنیائے سکندر نہیں کچھ بھی
جس تخت غنا پر متمکن ہوں میں پرتوؔ
اس دولت بے حد کے برابر نہیں کچھ بھی
is garmi-e-bazar se barh kar nahin kuchh bhi
sach janiye dukan ke andar nahin kuchh bhi
ham jahd musalsal se jahan tut ke gir jaen
wo lamha haqiqat hai muqaddar nahin kuchh bhi
majbur-e-tajassus ne kiya hai hamen warna
is qaid ki diwar ke bahar nahin kuchh bhi
ye meri tamanna hai ke jumbish mein hain parde
ik khwahish-e-paiham hai pas dar nahin kuchh bhi
afkar ki iqlim wirasat hai hamari
aur us ke siwa ham ko muyassar nahin kuchh bhi
darwesh bhi hote hue ham aise ghani hain
darai duniya-e-sikandar nahin kuchh bhi
jis takht-e-ghina par mutamakkin hun main partau
is daulat-e-be had ke barabar nahin kuchh bhi