جیسی اب ہے اسی حالت میں نہیں رہ سکتا
Zafar Iqbal (b. 1932)جیسی اب ہے اسی حالت میں نہیں رہ سکتا
میں ہمیشہ تو محبت میں نہیں رہ سکتا
کھل کے رو بھی سکوں اور ہنس بھی سکوں جی بھر کے
ابھی اتنی بھی فراغت میں نہیں رہ سکتا
دل سے باہر نکل آنا مری مجبوری ہے
میں تو اس شور قیامت میں نہیں رہ سکتا
کوچ کر جائیں جہاں سے مرے دشمن اے دوست
میں وہاں بھی کسی صورت میں نہیں رہ سکتا
کوئی خطرہ ہے مجھے اور طرح کا اے دوست
میں جو اب تیری حفاظت میں نہیں رہ سکتا
چاہیئے ہے مجھے کچھ اور ہی ماحول کہ میں
اور اب اپنی رفاقت میں نہیں رہ سکتا
کچھ بھی میں کرتا کراتا تو نہیں ہوں لیکن
باوجود اس کے فراغت میں نہیں رہ سکتا
شک مجھے یوں تو خیانت کا نہیں ہے کوئی
میں کسی کی بھی امانت میں نہیں رہ سکتا
ویسے رہنے کو تو خوش باش ہی رہتا ہوں ظفرؔ
سچ جو پوچھیں تو حقیقت میں نہیں رہ سکتا
jaisi ab hai isi halat mein nahin rah sakta
main hamesha to mohabbat mein nahin rah sakta
khul ke ro bhi sakun aur hans bhi sakun ji bhar ke
abhi itni bhi faraghat mein nahin rah sakta
dil se bahar nikal ana miri majburi hai
main to is shor-e-qayamat mein nahin rah sakta
kuch kar jaen jahan se mire dushman ai dost
main wahan bhi kisi surat mein nahin rah sakta
koi khatra hai mujhe aur tarah ka ai dost
main jo ab teri hifazat mein nahin rah sakta
chahiye hai mujhe kuchh aur hi mahaul ke main
aur ab apni rifaqat mein nahin rah sakta
kuchh bhi main karta karata to nahin hun lekin
bawajud us ke faraghat mein nahin rah sakta
shak mujhe yun to khayanat ka nahin hai koi
main kisi ki bhi amanat mein nahin rah sakta
waise rahne ko to khush bash hi rahta hun zafar
sach jo puchhen to haqiqat mein nahin rah sakta