رخ زیبا ادھر نہیں کرتا
Zafar Iqbal (b. 1932)رخ زیبا ادھر نہیں کرتا
چاہتا ہے مگر نہیں کرتا
سوچتا ہے مگر سمجھتا نہیں
دیکھتا ہے نظر نہیں کرتا
بند ہے اس کا در اگر مجھ پر
کیوں مجھے در بدر نہیں کرتا
حرف انکار اور اتنا طویل
بات کو مختصر نہیں کرتا
نہ کرے شہر میں وہ ہے تو سہی
مہربانی اگر نہیں کرتا
حسن اس کا اسی مقام پہ ہے
یہ مسافر سفر نہیں کرتا
جا کے سمجھائیں کیا اسے کہ ظفرؔ
تو بھی تو درگزر نہیں کرتا
rukh-e-zeba idhar nahin karta
chahta hai magar nahin karta
sochta hai magar samajhta nahin
dekhta hai nazar nahin karta
band hai us ka dar agar mujh par
kyun mujhe dar badar nahin karta
harf-e-inkar aur itna tawil
bat ko mukhtasar nahin karta
na kare shahr mein wo hai to sahi
mehrbani agar nahin karta
husn us ka usi maqam pe hai
ye musafir safar nahin karta
ja ke samjhaen kya use ke zafar
tu bhi to darguzar nahin karta