جو بندۂ خدا تھا خدا ہونے والا ہے
Zafar Iqbal (b. 1932)جو بندۂ خدا تھا خدا ہونے والا ہے
کیا کچھ ابھی تو جلوہ نما ہونے والا ہے
یہ بھی درست ہے کہ پیمبر نہیں ہوں میں
ہے یہ بھی سچ کہ میرا کہا ہونے والا ہے
کچھ اشک خوں بچا کے بھی رکھیے کہ شہر میں
جو ہو چکا ہے اس سے سوا ہونے والا ہے
وہ وقت ہے کہ خلق پہ ہر ظلم ناروا
اللہ کا نام لے کے روا ہونے والا ہے
اک خوف ہے کہ ہونے ہی والا ہے جا گزیں
اک خواب ہے کہ سب سے جدا ہونے والا ہے
رنگ ہوا میں ہے عجب اسرار سا کوئی
کوئی بھی جانتا نہیں کیا ہونے والا ہے
خوش تھا سیاہ خانۂ دل میں بہت لہو
اس قید سے مگر یہ رہا ہونے والا ہے
یہ تیر آخری ہے بس اس کی کمان میں
اور وہ بھی دیکھ لینا خطا ہونے والا ہے
اک لہر ہے کہ مجھ میں اچھلنے کو ہے ظفرؔ
اک لفظ ہے کہ مجھ سے ادا ہونے والا ہے
jo banda-e-khuda tha khuda hone wala hai
kya kuchh abhi to jalwa numa hone wala hai
ye bhi durust hai ke payambar nahin hun main
hai ye bhi sach ke mera kaha hone wala hai
kuchh ashk-e-khun bacha ke bhi rakhiye ke shahr mein
jo ho chuka hai us se siwa hone wala hai
wo waqt hai ke khalq pe har zulm narawa
allah ka nam le ke rawa hone wala hai
ik khauf hai ke hone hi wala hai ja guzin
ik khwab hai ke sab se juda hone wala hai
rang hawa mein hai ajab asrar sa koi
koi bhi janta nahin kya hone wala hai
khush tha siyah khana-e-dil mein bahut lahu
is qaid se magar ye raha hone wala hai
ye tir akhiri hai bas us ki kaman mein
aur wo bhi dekh lena khata hone wala hai
ik lahr hai ke mujh mein uchhalne ko hai zafar
ik lafz hai ke mujh se ada hone wala hai