کھڑکیاں کس طرح کی ہیں اور در کیسا ہے وہ
Zafar Iqbal (b. 1932)کھڑکیاں کس طرح کی ہیں اور در کیسا ہے وہ
سوچتا ہوں جس میں وہ رہتا ہے گھر کیسا ہے وہ
کیسی وہ آب و ہوا ہے جس میں وہ لیتا ہے سانس
آتا جاتا ہے وہ جس پر رہ گزر کیسا ہے وہ
کون سی رنگت کے ہیں اس کے زمین و آسماں
چھاؤں ہے جس کی یہاں تک بھی شجر کیسا ہے وہ
اک نظر میں ہی نظر آ جائے گا وہ سر بسر
پھر بھی اس کو دیکھنا بار دگر کیسا ہے وہ
میں تو اس کے ایک اک لمحے کا رکھتا ہوں شمار
اور میرے حال دل سے بے خبر کیسا ہے وہ
اس کا ہونا ہی بہت ہے وہ کہیں ہے تو سہی
کیا سروکار اس سے ہے مجھ کو ظفرؔ کیسا ہے وہ
khirkiyan kis tarah ki hain aur dar kaisa hai wo
sochta hun jis mein wo rahta hai ghar kaisa hai wo
kaisi wo ab-o-hawa hai jis mein wo leta hai sans
ata jata hai wo jis par rah guzar kaisa hai wo
kaun si rangat ke hain us ke zamin-o-asman
chhaon hai jis ki yahan tak bhi shajar kaisa hai wo
ik nazar mein hi nazar a jaega wo sar basar
phir bhi us ko dekhna bar-e-digar kaisa hai wo
main to us ke ek ik lamhe ka rakhta hun shumar
aur mere hal-e-dil se be khabar kaisa hai wo
us ka hona hi bahut hai wo kahin hai to sahi
kya sarokar us se hai mujh ko zafar kaisa hai wo