بھول بیٹھا تھا مگر یاد بھی خود میں نے کیا
Zafar Iqbal (b. 1932)بھول بیٹھا تھا مگر یاد بھی خود میں نے کیا
وہ محبت جسے برباد بھی خود میں نے کیا
نوچ کر پھینک دیے آپ ہی خواب آنکھوں سے
اس دبی شاد کو ناشاد بھی خود میں نے کیا
جال پھیلائے تھے جس کے لیے چاروں جانب
اس گرفتار کو آزاد بھی خود میں نے کیا
کام تیرا تھا مگر مارے مروت کے اسے
تجھ سے پہلے بھی ترے بعد بھی خود میں نے کیا
شہر میں کیوں مری پہچان ہی باقی نہ رہی
اس خرابے کو تو آباد بھی خود میں نے کیا
ہر نیا ذائقہ چھوڑا ہے جو اوروں کے لیے
پہلے اپنے لیے ایجاد بھی خود میں نے کیا
انکساری میں مرا حکم بھی جاری تھا ظفرؔ
عرض کرتے ہوئے ارشاد بھی خود میں نے کیا
bhul baitha tha magar yad bhi khud main ne kiya
wo mohabbat jise barbad bhi khud main ne kiya
noch kar phenk diye ap hi khwab ankhon se
is dabi shad ko nashad bhi khud main ne kiya
jal phailae the jis ke liye charon janib
is giraftar ko azad bhi khud main ne kiya
kam tera tha magar mare murawwat ke use
tujh se pahle bhi tire baad bhi khud main ne kiya
shahr mein kyun miri pahchan hi baqi na rahi
is kharabe ko to abad bhi khud main ne kiya
har naya zaiqa chhora hai jo auron ke liye
pahle apne liye ijad bhi khud main ne kiya
inkisari mein mira hukm bhi jari tha zafar
arz karte hue irshad bhi khud main ne kiya