رسم ہے یہ دنیا کی کھیل ہے یہ قسمت کا
Maaham Shah (b. 1997)رسم ہے یہ دنیا کی کھیل ہے یہ قسمت کا
چاہتے جسے ہم ہیں وہ نہیں ہے چاہت کا
جس نے ہجر کاٹا ہے بس وہ جان سکتا ہے
زخم سل نہیں سکتا درد ہے وہ شدت کا
آنکھ مر تو جاتی ہے جینے کی تمنا میں
اور وہ نہیں مرتا جو ہے خواب حسرت کا
جو لکھا لکیروں میں اس کو پورا ہونا ہے
وقت ٹل نہیں سکتا ہر گھڑی مصیبت کا
صرف قسمیں وعدے ہیں اور وقت پڑنے پر
ساتھ بھی نہیں دیتا اب کوئی محبت کا
rasm hai ye duniya ki khel hai ye qismat ka
chahte jise ham hain wo nahin hai chahat ka
jis ne hijr kata hai bas wo jan sakta hai
zakhm sil nahin sakta dard hai wo shiddat ka
ankh mar to jati hai jine ki tamanna mein
aur wo nahin marta jo hai khwab hasrat ka
jo likha lakiron mein us ko pura hona hai
waqt tal nahin sakta har ghari musibat ka
sirf qasmen waade hain aur waqt parne par
sath bhi nahin deta ab koi mohabbat ka