جنوں بغیر کبھی آگہی نہیں ہوتی
Baldev singh Hamdam (b. 1922)جنوں بغیر کبھی آگہی نہیں ہوتی
جلے نہ شمع تو کچھ روشنی نہیں ہوتی
وہ سجدہ سجدہ نہیں جس میں ہوش باقی ہو
بہ قید ہوش جو ہو بندگی نہیں ہوتی
قبائے حسن کی تابش اگر ہو آنکھوں میں
بشر کے دل میں کبھی تیرگی نہیں ہوتی
قدم قدم پہ جو کھائے فریب ہستی کا
اس آدمی کی کوئی زندگی نہیں ہوتی
رموز زیست سے واقف ہوا ہے جو انساں
بقائے زیست کی اس کو خوشی نہیں ہوتی
بشر کے واسطے لازم ہے جذبۂ الفت
چمن میں گل نہ ہو تو زندگی نہیں ہوتی
بشر کا عزم نکھرتا ہے مشکلوں ہی میں
الم نہ جس میں ہو وہ زندگی نہیں ہوتی
اسی امید پہ ہمدمؔ گناہ کرتا ہوں
خدا کے گھر میں کرم کی کمی نہیں ہوتی
junun baghair kabhi agahi nahin hoti
jale na shama to kuchh raushni nahin hoti
wo sajda sajda nahin jis mein hosh baqi ho
ba qaid-e-hosh jo ho bandagi nahin hoti
qaba-e-husn ki tabish agar ho ankhon mein
bashar ke dil mein kabhi tirgi nahin hoti
qadam qadam pe jo khae fareb-e-hasti ka
us admi ki koi zindagi nahin hoti
rumuz-e-zist se waqif hua hai jo insan
baqa-e-zist ki us ko khushi nahin hoti
bashar ke waste lazim hai jazba-e-ulfat
chaman mein gul na ho to zindagi nahin hoti
bashar ka azm nikharta hai mushkilon hi mein
alam na jis mein ho wo zindagi nahin hoti
isi umid pe hamdam gunah karta hun
khuda ke ghar mein karam ki kami nahin hoti