اگر ہیں خار الم آدمی کے دامن میں
Baldev singh Hamdam (b. 1922)اگر ہیں خار الم آدمی کے دامن میں
خوشی کے پھول بھی تو ہیں اسی کے دامن میں
ہزار عیش سہی زندگی کے دامن میں
مگر ہے صبر کہاں آدمی کے دامن میں
اگر سکوں ہے تو ہے بندگی کے دامن میں
ملے گی منزل عرفاں اسی کے دامن میں
کسی کی یاد میں آنسو جو آنکھ سے ٹپکے
جواہرات ہیں یہ عاشقی کے دامن میں
کمال ضبط یہی ہے وقار عشق یہی
چھپی ہو آرزوئے دل خودی کے دامن میں
حدیث عشق و محبت کا ترجماں جو ہو
ادب کے پھول کھلے ہیں اسی کے دامن میں
بہ چشم غور جو دیکھو تو اور بھی کچھ ہے
فقط گناہ نہیں آدمی کے دامن میں
اجل ہزار بری چیز ہے مگر ہمدم
پناہ ملتی ہے آخر اسی کے دامن میں
agar hain khar-e-alam admi ke daman mein
khushi ke phul bhi to hain usi ke daman mein
hazar aish sahi zindagi ke daman mein
magar hai sabr kahan admi ke daman mein
agar sakun hai to hai bandagi ke daman mein
milegi manzil-e-irfan usi ke daman mein
kisi ki yad mein ansu jo ankh se tapke
jawahirat hain ye ashiqi ke daman mein
kamal-e-zabt yahi hai waqar-e-ishq yahi
chhupi ho arzu-e-dil khudi ke daman mein
hadis-e-ishq-o-mohabbat ka tarjuman jo ho
adab ke phul khule hain usi ke daman mein
ba chashm-e-ghaur jo dekho to aur bhi kuchh hai
faqat gunah nahin admi ke daman mein
ajal hazar buri chiz hai magar hamdam
panah milti hai akhir usi ke daman mein