منزل یار بے نشاں بھی نہیں
Raees Niyazi (1920–1994)منزل یار بے نشاں بھی نہیں
دل ہو غافل تو رازداں بھی نہیں
برق کیوں بے قرار ہے اتنا
اب تو گلشن میں آشیاں بھی نہیں
ہو نظر میں اگر حقیقت حسن
زندگی سادہ داستاں بھی نہیں
وہ جفاؤں پہ شرمسار نہ ہوں
اب یہ منزل مجھے گراں بھی نہیں
یار کی جستجو کو کیا کہئے
رائیگاں بھی ہے رائیگاں بھی نہیں
دل تک آئے تو وجہ تسکیں ہو
وہ نظر اتنی مہرباں بھی نہیں
اللہ اللہ سرور یاد حبیب
اب مجھے ہجر کا گماں بھی نہیں
لب تک آ جائے تو قیامت ہے
عاشقی کار بے فغاں بھی نہیں
عظمت حسن عشق سے ہے رئیسؔ
سر نہیں ہے تو آستاں بھی نہیں
manzil-e-yar be nishan bhi nahin
dil ho ghafil to razdan bhi nahin
barq kyun be qarar hai itna
ab to gulshan mein ashiyan bhi nahin
ho nazar mein agar haqiqat husn
zindagi sada dastan bhi nahin
wo jafaon pe sharmsar na hun
ab ye manzil mujhe giran bhi nahin
yar ki justuju ko kya kahiye
raigan bhi hai raigan bhi nahin
dil tak ae to wajh-e-taskin ho
wo nazar itni mehrban bhi nahin
allah allah surur yad-e-habib
ab mujhe hijr ka guman bhi nahin
lab tak a jae to qayamat hai
ashiqi kar-e-be fughan bhi nahin
azmat husn-e-ishq se hai rais
sar nahin hai to astan bhi nahin