وہ چاند رت کے حسین لمحوں کی شاعری ہے
Jahanzeb Sahir (b. 1983)وہ چاند رت کے حسین لمحوں کی شاعری ہے
کہ اس کی باتیں ہزار سالوں کی شاعری ہے
یہ خشک پتے کہ جیسے راہوں میں لفظ بکھرے
اداس موسم میں ان درختوں کی شاعری ہے
ہماری آنکھیں اداس غزلوں کے قافیے ہیں
ہمارا چہرہ پرانے وقتوں کی شاعری ہے
تمہارا ہنسنا ہماری نظموں کی ابتدا تھی
ہمارا رونا تمہاری آنکھوں کی شاعری ہے
یہ صرف حرفوں کی تاب کاری کا زہر کب ہے
خدا کے بندو یہ ہم غریبوں کی شاعری ہے
wo chand rut ke hasin lamhon ki shayari hai
ke us ki baten hazar salon ki shayari hai
ye khushk patte ke jaise rahon mein lafz bikhre
udas mausam mein in darakhton ki shayari hai
hamari ankhen udas ghazlon ke qafiye hain
hamara chehra purane waqton ki shayari hai
tumhara hansna hamari nazmon ki ibtida thi
hamara rona tumhari ankhon ki shayari hai
ye sirf harfon ki tab kari ka zahr kab hai
khuda ke bando ye ham gharibon ki shayari hai