میری نظر میں اس کی تب و تاب اور ہے
Jahangeer nayab (b. 1985)میری نظر میں اس کی تب و تاب اور ہے
کہتے ہیں جس کو گوہر نایاب اور ہے
سرشار جس سے روح ہو وہ گیت ہے جدا
جو تار دل کا چھیڑے وہ مضراب اور ہے
مقصود جو مجھے ہے یہ تعبیر وہ نہیں
جو دیکھتی ہے آنکھ مری خواب اور ہے
کھلتے ہیں جس سے لوگوں پہ اسرار بے خودی
میری کتاب زیست کا وہ باب اور ہے
ہے ذہن زندگی کے مسائل سے منتشر
اور دل کسی کے عشق میں بیتاب اور ہے
اپنی جگہ پہ دونوں ہی خوش رنگ ہیں مگر
طاؤس اور چیز ہے سرخاب اور ہے
یہ وار بھی ہدف سے کہیں دور جا گرا
ترکش میں تیر کیا کوئی نایابؔ اور ہے
meri nazar mein us ki tab-o-tab aur hai
kahte hain jis ko gauhar-e-nayab aur hai
sarshar jis se ruh ho wo git hai juda
jo tar dil ka chhere wo mizrab aur hai
maqsud jo mujhe hai ye taabir wo nahin
jo dekhti hai ankh miri khwab aur hai
khulte hain jis se logon pe asrar-e-be khudi
meri kitab-e-zist ka wo bab aur hai
hai zehn zindagi ke masail se muntashir
aur dil kisi ke ishq mein betab aur hai
apni jagah pe donon hi khush rang hain magar
taus aur chiz hai surkhab aur hai
ye war bhi hadaf se kahin dur ja gira
tarkash mein tir kya koi nayab aur hai