میں جب بھی کوئی منظر دیکھتا ہوں
Jahangeer nayab (b. 1985)میں جب بھی کوئی منظر دیکھتا ہوں
ذرا اوروں سے ہٹ کر دیکھتا ہوں
کبھی میں دیکھتا ہوں اس کی رحمت
کبھی میں اپنی چادر دیکھتا ہوں
نظر کا زاویہ بدلا ہے جب سے
میں کوزے میں سمندر دیکھتا ہوں
کبھی میرے لیے تھے پھول جن میں
اب ان ہاتھوں میں پتھر دیکھتا ہوں
سبھی ہیں مبتلائے خود فریبی
عجب دنیا کا منظر دیکھتا ہوں
نہیں بدلاؤ کے آثار کچھ بھی
ابھی حالات ابتر دیکھتا ہوں
مقدر میں لکھی ویرانیوں میں
ذرا سا رنگ بھر کر دیکھتا ہوں
نظر آتا ہے مدفن خواہشوں کا
کبھی جب اپنے اندر دیکھتا ہوں
سنا ہے آگ ہے اس کا سراپا
چلو باہوں میں بھر کر دیکھتا ہوں
بصیرت مجھ میں ہے نایابؔ ایسی
میں ہر قطرے میں گوہر دیکھتا ہوں
main jab bhi koi manzar dekhta hun
zara auron se hat kar dekhta hun
kabhi main dekhta hun us ki rahmat
kabhi main apni chadar dekhta hun
nazar ka zawiya badla hai jab se
main kuze mein samundar dekhta hun
kabhi mere liye the phul jin mein
ab in hathon mein patthar dekhta hun
sabhi hain mubtala-e-khud farebi
ajab duniya ka manzar dekhta hun
nahin badlao ke asar kuchh bhi
abhi halat abtar dekhta hun
muqaddar mein likhi wiraniyon mein
zara sa rang bhar kar dekhta hun
nazar ata hai madfan khwahishon ka
kabhi jab apne andar dekhta hun
suna hai ag hai us ka sarapa
chalo bahon mein bhar kar dekhta hun
basirat mujh mein hai nayab aisi
main har qatre mein gauhar dekhta hun