خواہشوں کی بادشاہی کچھ نہیں
Tahir Azeem (b. 1978)خواہشوں کی بادشاہی کچھ نہیں
دل میں شوق کج کلاہی کچھ نہیں
کیوں عدالت کو شواہد چاہئیں
کیا یہ زخموں کی گواہی کچھ نہیں
صبح لکھی ہے اگر تقدیر میں
رات کی پھر یہ سیاہی کچھ نہیں
سوچ اپنی ذات تک محدود ہے
ذہن کی کیا یہ تباہی کچھ نہیں
ظرف شامل ہے ہمارے خون میں
یہ تمہاری کم نگاہی کچھ نہیں
ہنس کے ملتا ہے عموماً وہ عظیمؔ
اس طرح جیسے ہوا ہی کچھ نہیں
khwahishon ki badshahi kuchh nahin
dil mein shauq-e-kaj kulahi kuchh nahin
kyun adalat ko shawahid chahiyen
kya ye zakhmon ki gawahi kuchh nahin
subh likhi hai agar taqdir mein
rat ki phir ye siyahi kuchh nahin
soch apni zat tak mahdud hai
zehn ki kya ye tabahi kuchh nahin
zarf shamil hai hamare khun mein
ye tumhari kam nigahi kuchh nahin
hans ke milta hai umuman wo azim
is tarah jaise hua hi kuchh nahin