ہم نہ اردو میں نہ ہندی میں غزل کہتے ہیں
Urmilesh (1951–2005)ہم نہ اردو میں نہ ہندی میں غزل کہتے ہیں
ہم تو بس آپ کی بولی میں غزل کہتے ہیں
وہ امیری میں غزل کہتے ہیں کہتے ہوں گے
سچے شاعر تو فقیری میں غزل کہتے ہیں
ایسے شاعر بھی غریبی نے کیے ہیں پیدا
لیڈروں کی جو غلامی میں غزل کہتے ہیں
کس کو فرصت ہے جو اب شعر کہے اور سنے
وہی اچھے ہیں جو جلدی میں غزل کہتے ہیں
اب نہ مستی ہے نہ مستی کا سبب بھی کوئی
پھر بھی حیرت ہے وہ مستی میں غزل کہتے ہیں
آنکھیں مطلع ہیں ادھر جن کے ہیں حسن مطلع
اس جوانی کو جوانی میں غزل کہتے ہیں
وہ غزل کہتے ہیں معقول ہوا ملنے پر
ایک ہم ہیں کہ جو آندھی میں غزل کہتے ہیں
ham na urdu mein na hindi mein ghazal kahte hain
ham to bas ap ki boli mein ghazal kahte hain
wo amiri mein ghazal kahte hain kahte honge
sachche shayar to faqiri mein ghazal kahte hain
aise shayar bhi gharibi ne kiye hain paida
lidaron ki jo ghulami mein ghazal kahte hain
kis ko fursat hai jo ab sher kahe aur sune
wahi achchhe hain jo jaldi mein ghazal kahte hain
ab na masti hai na masti ka sabab bhi koi
phir bhi hairat hai wo masti mein ghazal kahte hain
ankhen matlaa hain idhar jin ke hain husn-e-matlaa
is jawani ko jawani mein ghazal kahte hain
wo ghazal kahte hain maaqul hua milne par
ek ham hain ke jo andhi mein ghazal kahte hain