چھپا ہے کرب مسلسل ہوا کے لہجے میں
Ghayas Anjum (b. 1950)چھپا ہے کرب مسلسل ہوا کے لہجے میں
کوئی تو پھول کھلائے دعا کے لہجے میں
میں اس کی قدر کروں گا جو میرے عیبوں کو
مرے ہی منہ پہ کہے آشنا کے لہجے میں
زمانہ آج بھی قاصر ہے یہ سمجھنے سے
سفر کی بات ہوئی کیوں ہوا کے لہجے میں
ہمارے درد کا اندازہ اس کو کیا ہوگا
کہ اشک ہوتے نہیں ہیں وفا کے لہجے میں
ہے اعتراف کہ اکثر الجھ پڑے جس سے
وہ مہربان ہوا ہے دعا کے لہجے میں
مری نظر میں رہا ہے جو محترم انجمؔ
وہی ہے مجھ سے مخاطب سزا کے لہجے میں
chhupa hai karb-e-musalsal hawa ke lahje mein
koi to phul khilae dua ke lahje mein
main us ki qadr karunga jo mere aibon ko
mire hi munh pe kahe ashna ke lahje mein
zamana aj bhi qasir hai ye samajhne se
safar ki bat hui kyun hawa ke lahje mein
hamare dard ka andaza us ko kya hoga
ke ashk hote nahin hain wafa ke lahje mein
hai etiraf ke aksar ulajh pare jis se
wo mehrban hua hai dua ke lahje mein
miri nazar mein raha hai jo mohtaram anjum
wahi hai mujh se mukhatib saza ke lahje mein