چمن میں آتش گل بھی نہیں دھواں بھی نہیں
Raaz Muradabadi (1916–1982)چمن میں آتش گل بھی نہیں دھواں بھی نہیں
بہار تو یہ نہیں ہے مگر خزاں بھی نہیں
بچھڑ گئے ہیں کہاں ہم سفر خدا جانے
نقوش پا بھی نہیں گرد کارواں بھی نہیں
طواف کعبہ کیا بت کدہ بھی دیکھ آئے
سکون قلب یہاں بھی نہیں وہاں بھی نہیں
قفس ہے گوشۂ راحت قفس ہے دار اماں
غم چمن بھی نہیں فکر آشیاں بھی نہیں
کہاں کے گیت کہاں کی غزل کہ ہم سخنو
بہت دنوں سے ہمیں جرأت فغاں بھی نہیں
chaman mein atish-e-gul bhi nahin dhuan bhi nahin
bahar to ye nahin hai magar khizan bhi nahin
bichhar gae hain kahan ham safar khuda jane
nuqush-e-pa bhi nahin gard-e-karwan bhi nahin
tawaf-e-kaaba kiya but kada bhi dekh ae
sukun-e-qalb yahan bhi nahin wahan bhi nahin
qafas hai gosha-e-rahat qafas hai dar-e-aman
gham-e-chaman bhi nahin fikr-e-ashiyan bhi nahin
kahan ke git kahan ki ghazal ke ham sukhano
bahut dinon se hamen jurat-e-fughan bhi nahin