اک لمحہ جو فرقت کے سوا اور بھی کچھ تھا
Yahya Khan Yusuf Zai (b. 1981)اک لمحہ جو فرقت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک غم جو قیامت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک چہرہ نگاہوں کے لیے فیض رساں تھا
اک خواب زیارت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک نقش تصور کے پرے بھی تھا مجسم
اک وہم حقیقت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک داغ جو رکھتا تھا مرے سینے کو روشن
اک نام جو تہمت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک صوت محض رونق ویرانیٔ دل تھی
اک گل دم وحشت کے سوا اور بھی کچھ تھا
اک یاد خیالوں کے علاوہ بھی تھی موجود
اک زخم اذیت کے سوا اور بھی کچھ تھا
یہ دور قیامت کا جسے ہم نے گزارا
اک عمر کی مہلت کے سوا اور بھی کچھ تھا
ik lamha jo furqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik gham jo qayamat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik chehra nigahon ke liye faiz rasan tha
ik khwab ziyarat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik naqsh tasawwur ke pare bhi tha mujassam
ik wahm haqiqat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik dagh jo rakhta tha mire sine ko raushan
ik nam jo tohmat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik saut-e-mahz raunaq wirani-e-dil thi
ik gul dam wahshat ke siwa aur bhi kuchh tha
ik yad khayalon ke alawa bhi thi maujud
ik zakhm aziyyat ke siwa aur bhi kuchh tha
ye daur qayamat ka jise ham ne guzara
ik umr ki mohlat ke siwa aur bhi kuchh tha