وہ کون سے خطرے ہیں جو گلشن میں نہیں ہیں
Yaqoob Usmaniوہ کون سے خطرے ہیں جو گلشن میں نہیں ہیں
ہم موت کے منہ میں ہیں نشیمن میں نہیں ہیں
یہ جشن طرب اور یہ بے رنگیٔ محفل
دو پھول بھی کیا وقت کے دامن میں نہیں ہیں
چھپ چھپ کے کسے برق ہوس ڈھونڈھ رہی ہے
گنتی کے وہ خوشے بھی تو خرمن میں نہیں ہیں
امروز کے دکھتے ہوئے دل کی میں صدا ہوں
دیروز کے نوحے مرے شیون میں نہیں ہیں
چاک جگر اے دست کرم سی تو رہا ہے
گرہیں تو کہیں رشتۂ سوزن میں نہیں ہیں
مجبور اب اتنا بھی اسیروں کو نہ سمجھو
ایسے بھی ہیں کچھ طوق جو گردن میں نہیں ہیں
رنگ نگہ شوق بھرے کون چمن میں
تنکے بھی تو یعقوبؔ نشیمن میں نہیں ہیں
wo kaun se khatre hain jo gulshan mein nahin hain
ham maut ke munh mein hain nasheman mein nahin hain
ye jashn-e-tarab aur ye be rangi-e-mahfil
do phul bhi kya waqt ke daman mein nahin hain
chhup chhup ke kise barq-e-hawas dhundh rahi hai
ginti ke wo khushe bhi to khirman mein nahin hain
imroz ke dikhte hue dil ki main sada hun
diroz ke nauhe mire shewan mein nahin hain
chak-e-jigar ai dast-e-karam si to raha hai
girhen to kahin rishta-e-sozan mein nahin hain
majbur ab itna bhi asiron ko na samjho
aise bhi hain kuchh tauq jo gardan mein nahin hain
rang-e-nigah-e-shauq bhare kaun chaman mein
tinke bhi to yaaqub nasheman mein nahin hain