کاوش غم بھی ہے ظالم اور تیری یاد بھی
Faheemuddin Ahmad Faheem (1877–1922)کاوش غم بھی ہے ظالم اور تیری یاد بھی
یہ دل مضطر مرا ویراں بھی ہے آباد بھی
کیا سزائیں سوچی ہیں کچھ کیجئے ارشاد بھی
لیجئے حاضر ہوں میں بھی اور دل ناشاد بھی
روز اک تازہ ستم وہ بھی نئے انداز سے
داد لے ہی چھوڑتی ہے آپ کی بیداد بھی
دید کے قابل اگر ہے بے ستوں پر جوئے شیر
اک سبق عبرت کا ہے خون سر فرہاد بھی
یہ نہ پوچھو کس طرح کب کس لئے کس واسطے
بس یہ کافی ہے وہاں ہوتی ہے میری یاد بھی
پہلی ہی منزل میں دیکھو اس نے ہمت ہار دی
آسماں سر پر اٹھا کر رہ گئی فریاد بھی
بلبلوں کا پوچھنا گھبرا کے یہ صیاد سے
ہم اسیران قفس ہوں گے کبھی آزاد بھی
امتحاں ہم سخت جانوں کا کوئی کیا کھیل تھا
دیکھو پانی ہو گیا اب خنجر فولاد بھی
جس طرح تجھ کو ملے ہیں عیش و راحت کے شریک
مل رہے گا کوئی مجھ ناشاد کو ناشاد بھی
تھے ستم گر اب زمانے کی روش کو دیکھ کر
رفتہ رفتہ ہو گئے تم تو ستم ایجاد بھی
جس کے خواہاں تھے حسیں جس دل پہ مجھ کو ناز تھا
کچھ خبر بھی ہے تمہیں وہ ہو گیا برباد بھی
تنگ دل رکھتا ہے ظالم ہر گھڑی تو کیوں مجھے
ڈر ہے گھٹ گھٹ کر نہ اکتا جائے تیری یاد بھی
غیر جھوٹا ہے بھلا میں بے وفا تم کو کہوں
اس کی رنجش کیا نہ ہو جس بات کی بنیاد بھی
وعدۂ محشر وہ کر کے خود ہی یوں کہنے لگے
ہو تو سب کچھ جب رہے اس بھیڑ میں کچھ یاد بھی
کام آ جاتی ہے اکثر عشق میں دیوانگی
میں اگر سمجھو تو ہوں پابند بھی آزاد بھی
میں نے دیکھا ہے محبت کا اثر دونوں طرح
یہ کبھی آباد کرتی ہے کبھی برباد بھی
ناتوانی کا برا ہو وہ تو آئے وقت نزع
رک گئی ہونٹوں تک آ کر آخری فریاد بھی
اے فہیمؔ اس شوخ کی ہیں سب ادائیں انتخاب
بامزا ہے اس ستم ایجاد کی بیداد بھی
kawish-e-gham bhi hai zalim aur teri yad bhi
ye dil-e-muztar mira wiran bhi hai abad bhi
kya sazaen sochi hain kuchh kijiye irshad bhi
lijiye hazir hun main bhi aur dil-e-nashad bhi
roz ik taza sitam wo bhi nae andaz se
dad le hi chhorti hai ap ki bedad bhi
did ke qabil agar hai be sutun par ju-e-sher
ik sabaq ibrat ka hai khun sar-e-farhad bhi
ye na puchho kis tarah kab kis liye kis waste
bas ye kafi hai wahan hoti hai meri yad bhi
pahli hi manzil mein dekho us ne himmat har di
asman sar par utha kar rah gai fariyad bhi
bulbulon ka puchhna ghabra ke ye sayyad se
ham asiran-e-qafas honge kabhi azad bhi
imtihan ham sakht janon ka koi kya khel tha
dekho pani ho gaya ab khanjar-e-faulad bhi
jis tarah tujh ko mile hain aish-o-rahat ke sharik
mil rahega koi mujh nashad ko nashad bhi
the sitam gar ab zamane ki rawish ko dekh kar
rafta rafta ho gae tum to sitam ijad bhi
jis ke khwahan the hasin jis dil pe mujh ko naz tha
kuchh khabar bhi hai tumhen wo ho gaya barbad bhi
tang dil rakhta hai zalim har ghari to kyun mujhe
dar hai ghut ghut kar na ukta jae teri yad bhi
ghair jhuta hai bhala mein be wafa tum ko kahun
us ki ranjish kya na ho jis bat ki buniyad bhi
waada-e-mahshar wo kar ke khud hi yun kahne lage
ho to sab kuchh jab rahe is bhir mein kuchh yad bhi
kam a jati hai aksar ishq mein diwangi
main agar samjho to hun paband bhi azad bhi
main ne dekha hai mohabbat ka asar donon tarah
ye kabhi abad karti hai kabhi barbad bhi
natawani ka bura ho wo to ae waqt-e-nazaa
ruk gai honton tak a kar akhiri fariyad bhi
ai fahim us shokh ki hain sab adaen intikhab
bamaza hai us sitam ijad ki bedad bhi