وفا کی راہ میں گل ہی نہیں ہے خار بھی ہے
Urooj Qadriوفا کی راہ میں گل ہی نہیں ہے خار بھی ہے
یہ جرم وہ ہے کہ پاداش اس کی دار بھی ہے
سنبھل کے آ مرے ہمدم کہ راہ عشق و وفا
مقام سجدہ بھی میدان کارزار بھی ہے
مرے خدا تری رحمت کی آس رکھتا ہے
ترا یہ بندہ کہ خاطی بھی شرمسار بھی ہے
خزاں کا دور ہے گھبرا نہ بلبل غمگیں
خزاں کے بعد ہی پھر موسم بہار بھی ہے
وہ وقت دور نہیں ہے کہ پھر تو چہکے گا
کہ خار زار میں پوشیدہ لالہ زار بھی ہے
نشے میں مست ہیں جو لوگ وہ بھی یہ سن لیں
نشے کے بعد ہی اعضا شکن خمار بھی ہے
یہ کاروبار محبت بھی کیا بلا ہے عروجؔ
یقیں ہے وعدہ خلافی کا انتظار بھی ہے
wafa ki rah mein gul hi nahin hai khar bhi hai
ye jurm wo hai ke padash us ki dar bhi hai
sambhal ke a mire hamdam ke rah-e-ishq-o-wafa
maqam sajda bhi maidan-e-karzar bhi hai
mire khuda tiri rahmat ki as rakhta hai
tira ye banda ke khatayy bhi sharmsar bhi hai
khizan ka daur hai ghabra na bulbul-e-ghamgin
khizan ke baad hi phir mausam-e-bahar bhi hai
wo waqt dur nahin hai ke phir to chahkega
ke khar zar mein poshida lala zar bhi hai
nashe mein mast hain jo log wo bhi ye sun len
nashe ke baad hi aaza shikan khumar bhi hai
ye karobar-e-mohabbat bhi kya bala hai uruj
yaqin hai waada khilafi ka intizar bhi hai