ہو جاتے ہیں جب اپنے مریضوں سے خفا اور
Urooj Qadriہو جاتے ہیں جب اپنے مریضوں سے خفا اور
کرتے ہیں وہ ایجاد ستم اور جفا اور
اے ظلم سراپا کبھی اس پر بھی نظر کر
کیا میرا خدا اور ہے تیرا ہے خدا اور
مشکل ہے بتانا کہ ہے کیا فرق مگر ہے
لیلیٰ کی ادا اور ہے مجنوں کی ادا اور
تسلیم کہ دنیا ہی میں ہے جیل بھی لیکن
اندر کی فضا اور ہے باہر کی فضا اور
کہتا ہے یہ قیدی کہ ہوا ایک نہیں ہے
باہر کی ہوا اور ہے اندر کی ہوا اور
مومن کے لئے جیل ہے دنیائے دنی بھی
دنیا کی فضا اور ہے عقبیٰ کی فضا اور
بیمار مسرت کی دوا عیش کی لذت
بیمار محبت کا مرض اور دوا اور
اللہ کرے تجھ کو ترے نور سے آگاہ
محفل کا دیا اور ترے دل کا دیا اور
انجام محبت سے عروج اپنے ہے واقف
تا زیست ہے قسمت میں جفا اور بلا اور
ho jate hain jab apne marizon se khafa aur
karte hain wo ijad sitam aur jafa aur
ai zulm sarapa kabhi us par bhi nazar kar
kya mera khuda aur hai tera hai khuda aur
mushkil hai batana ke hai kya farq magar hai
laila ki ada aur hai majnun ki ada aur
taslim ke duniya hi mein hai jel bhi lekin
andar ki faza aur hai bahar ki faza aur
kahta hai ye qaidi ke hua ek nahin hai
bahar ki hawa aur hai andar ki hawa aur
momin ke liye jel hai duniya-e-dini bhi
duniya ki faza aur hai uqba ki faza aur
bimar masarrat ki dawa aish ki lazzat
bimar-e-mohabbat ka maraz aur dawa aur
allah kare tujh ko tire nur se agah
mahfil ka diya aur tire dil ka diya aur
anjam-e-mohabbat se uruj apne hai waqif
ta zist hai qismat mein jafa aur bala aur