راز الفت چھپا کے دیکھ لیا
Faiz Ahmad Faiz (1911–1984)راز الفت چھپا کے دیکھ لیا
دل بہت کچھ جلا کے دیکھ لیا
اور کیا دیکھنے کو باقی ہے
آپ سے دل لگا کے دیکھ لیا
وہ مرے ہو کے بھی مرے نہ ہوئے
ان کو اپنا بنا کے دیکھ لیا
آج ان کی نظر میں کچھ ہم نے
سب کی نظریں بچا کے دیکھ لیا
فیضؔ تکمیل غم بھی ہو نہ سکی
عشق کو آزما کے دیکھ لیا
raz-e-ulfat chhupa ke dekh liya
dil bahut kuchh jala ke dekh liya
aur kiya dekhne ko baqi hai
ap se dil laga ke dekh liya
wo mire ho ke bhi mire na hue
un ko apna bana ke dekh liya
aj un ki nazar mein kuchh ham ne
sab ki nazren bacha ke dekh liya
faiz takmil-e-gham bhi ho na saki
ishq ko azma ke dekh liya