سوکھا سوکھا دریا کا دل ہوتا ہے
Raaz Dehalvi (b. 1983)سوکھا سوکھا دریا کا دل ہوتا ہے
پیاس بجھانا کتنا مشکل ہوتا ہے
جس نے عشق کیا مجھ سے سب کو ٹوکے
زیست نہیں یہ ذات میں شامل ہوتا ہے
شام ہوا میں یاد تمہاری ہوتی ہے
شام کو سینہ بوجھل بوجھل ہوتا ہے
بارش تک بارش کو ٹالے رکھتا ہوں
پانی میں پھر پانی شامل ہوتا ہے
اس نے مجھ کو بول دیا پہچانا نہیں
ماضی سے بڑھ کر مستقبل ہوتا ہے
مجھ کو اک پاگل کے حوالے کر جاؤ
کھل کر ہنسنے رونے کا دل ہوتا ہے
وہ مذہب جو بس خطرے میں رہتا ہے
اس مذہب سے ڈر ہی حاصل ہوتا ہے
sukha sukha dariya ka dil hota hai
pyas bujhana kitna mushkil hota hai
jis ne ishq kiya mujh se sab ko toke
zist nahin ye zat mein shamil hota hai
sham hawa mein yad tumhari hoti hai
sham ko sina bojhal bojhal hota hai
barish tak barish ko tale rakhta hun
pani mein phir pani shamil hota hai
us ne mujh ko bol diya pahchana nahin
mazi se barh kar mustaqbil hota hai
mujh ko ik pagal ke hawale kar jao
khul kar hansne rone ka dil hota hai
wo mazhab jo bas khatre mein rahta hai
is mazhab se dar hi hasil hota hai